hijazi le gai humne bhulae taur-e-turkani

hijazi le gai hum ne bhulae taur-e-turkani
bachi le de ke hum mein ab faqat apnon ki man-mani

jamal-e-subh paida kar ki nazir khud-bakhud aaen
uda lahje se wo khushbu lage jo bu-e-bustani

hukumat ka tamasha hai imarat ka takabbur hai
jo kal aazad the wo aaj ban baithe hain zindani

sanbhal ai naujawan ab waqt bhi nazdik aata hai
mujhe to khun rulati hai lahu ki tere arzani

tayyush mein ganwa baithega miras-e-salaf sun le
jafa-kash ban to phir tera hai ye takht-e-sulaimani

kahan teri hamiyyat aur ghairat hai wahi jis se
dare the qaisar-o-kisra gira tha taj-e-khaqani

halakat-khez daldal mein utara kis ne ummat ko
bata 'danish' wo jurat thi ki tha andaz-e-rahbani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close