hijr ki raat aur kya karte tere aane ki bas dua karte hum se tauhin-e-ishq ho na saki kis tarah arz-e-muddaa karte ungliyan ho gain figar apni kitne maktub hum likha karte dar pe hum ko khinchne walo hum bahar-haal haq kaha karte jab ki mahaul hi bura hai 'muin' kya kisi se koi gila karte