hijr ki rut hai tera rup magar samne hai han wahi chehra wahi dida-e-tar samne hai khub hai shahr-e-aman tera yahan bhi ai jaan jis se hum bach ke chale the wo khatar samne hai ab nahin koi yahan hausla dene wala phir wahi dasht wahi sham-e-safar samne hai sath chalti thin abhi ek nagar ki chikhen ab koi dusra majruh nagar samne hai ab bhi hai duri ka ehsas ki shal hain panw yun to main shahar mein hun aap ka ghar samne hai dhup ki tez tapish aur safar hai dar-pesh saeban koi yahan hai na shajar samne hai agle lamhe ka bhala kis ko yaqin hai 'athar' zindagi kya hai bas ek raqs-e-sharar samne hai