hijr ki shab hai aur ujala hai kya tasawwur bhi lutne wala hai gham to hai ain-e-zindagi lekin gham-gusaron ne mar dala hai ishq majbur o na-murad sahi phir bhi zalim ka bol-baala hai dekh kar barq ki pareshani aashiyan khud hi phunk dala hai kitne ashkon ko kitni aahon ko ek tabassum mein us ne dhaala hai teri baaton ko main ne ai waiz ehtiraman hansi mein tala hai maut aae to din phiren shayad zindagi ne to mar dala hai sher naghma shaguftagi masti gham ka jo rup hai nirala hai laghzishen muskurai hain kya kya hosh ne jab mujhe sambhaala hai dam andhere mein ghut raha hai 'khumar' aur chaaron taraf ujala hai