hijr-saat ki dastan hain hum

hijr-saat ki dastan hain hum
wo zamin hai to aasman hain hum

aa parakh le hamein tu ai duniya
aaj hasil hain kal kahan hain hum

dard-qisse hain apni ghazlon mein
log samjhe hain naghma-khwan hain hum

tere naqshe mein rang kya bharte
ab to khud se bhi bad-guman hain hum

aaj sahil pe dhajjiyan bolin
kal ki kashti ke baadban hain hum

aag mausam hai apni aankhon mein
barf wadi ke hukmran hain hum

apni khushbu hamein nahin milti
waise kahne ko gulsitan hain hum

hum ne pani hai nudrat-e-ehsas
mir-o-ghaalib ke darmiyan hain hum

ghar basa kar bhi gham-zada hai wo
ghar luta kar bhi shadman hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close