hikayaton se fasanon se ret uDti hai

hikayaton se fasanon se ret udti hai
yahan qadim zamanon se ret udti hai

nasheb-e-jaan se umadte hain taza-rau dariya
buland-baam makanon se ret udti hai

lapak alag hai chamak aur hai lalak hai juda
ye kaisi kaisi uthanon se ret udti hai

yahan kitabon se jhadti hain bhurnhuri sadiyan
aur ek shelf ke khanon se ret udti hai

ba-najd khatir-e-majnun wara-e-shauq-o-junun
ude to kitne bahanon se ret udti hai

hamari naqsh-numai ko chatne ke liye
tere tamam jahanon se ret udti hai

yahin kahin the wo lahren uchhaalne wale
hamare dil mein zamanon se ret udti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close