himmat-o-azm badal jurat-e-kirdar badal rukh-e-dauran ko palat waqt ki raftar badal ab to kahte ho wafa hum se karoge lekin waqt aane pe kahin jae na sarkar badal hashr se qabl kahin hashr na barpa ho jae dekh lillah zara shokhi-e-raftar badal gar badalta hai tujhe dahr ka farsuda nizam tujh pe lazim hai ki har baat ka mear badal manzil-e-ishq nahin aql ke bas ki ai dost hai agar sahib-e-dil qafila-salar badal teri rahmat pe jo hota na bharosa un ko ain mumkin hai ki jate ye gunahgar badal