hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang wo aankh lai hai zanjir kar ke kya kya rang tujhe khabar nahin pahlu-e-mausam-e-gul se chhalak rahe hain teri chashm-e-tar ke kya kya rang utar rahe hain meri hairaton ke aangan mein faraaz-e-shab se tulu-e-sahar ke kya kya rang sar-e-visal tere kaif-o-kam se zahir hain meri nazar pe kaf-e-kuza-gar ke kya kya rang faza khamosh hui phir bhi raqs karte hain nawah-e-jaan mein kisi ki nazar ke kya kya rang safar mein tark-e-masafat pe dil hua mail masafaton mein khule apne ghar ke kya kya rang guman bahaar ka hota hai ab khizan pe 'razi' chura liye hain khizan ne shajar ke kya kya rang