hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo

hisab-e-umr karo ya hisab-e-jam karo
ba-qadr-e-zarf shab-e-gham ka ehtimam karo

agar zara bhi riwayat ki pasdari hai
khirad ke daur mein rasm-e-junun ko aam karo

khuda gawah faqiron ka tajraba ye hai
jahan ho subh tumhaari wahan na sham karo

na rind o shaikh na mulla na mohtasib na faqih
ye mai-kada hai yahan sab ko shad-kaam karo

wahi hai tesha bayaban wahi hai dar wahi
jo ho sake to zamane mein tum bhi nam karo

khiram-e-yar ki aahat si dil se aati hai
sarishk-e-khun se charaghan ka ehtimam karo

asir-e-zulf hamin ek nahin hain 'mir' bhi the
magar ab uth ke do-alam ko zer-e-dam karo

'arrib' dekho na itrao chand sheron par
ghazal wo fan hai ki 'ghaalib' ko tum salam karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close