hisar-e-gham se nikal apni zindagani bacha

hisar-e-gham se nikal apni zindagani bacha
nigah-e-hijr mein aai hui jawani bacha

ye log pyar ke hasid hain mere qissa-go
kisi ki ek na sun tu faqat kahani bacha

ajib ranj tha jis ne ye aankh banjar ki
main itna roya meri aankh mein na pani bacha

har ek chiz na ghusse se kude-dan mein phenk
qarar-e-dil ko bhi us ki koi nishani bacha

khizan ruton ne bhi barson talak jalaya mujhe
numu ko bhi na koi dast-e-baghbani bacha

rafaqaton ka hasan aur kuchh nahin hasil
bacha to dil mein faqat ranj-e-raegani bacha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close