ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya yun aab mein bujhte hue shoale ki sada kya ai tu ki yaqin hai tujhe shishe ke badan par ehsas ki dastak par kabhi kan dhara kya diwar tahi naqsh har ek rang se mayus kaghaz ke liye mu-e-qalam sang bacha kya mahfuz hamin reg-hisaron mein hue the kya warna samundar ka guzar mauj-e-hawa kya wo shakhs mere sae se rakhta hai talluq mera hi yaqin tut gaya us ka gaya kya us barf ke insan ki takhliq meri thi is dhup ki nagri mein mile us ka pata kya khud tir hadon mein hon abhi sach hai ye 'manzur' us chashm-giraftar ko manunga khuda kya