ho gae yar parae apne

ho gae yar parae apne
jism apne hain na sae apne

pher lin us ne bhi nazren aakhir
waqt par kaam na aae apne

wo jo badla to zamana badla
rang duniya ne dikhae apne

ajnabi lagti hai apni surat
ho gae naqsh parae apne

kin shumar apni jafaen us ne
jurm sab hum ne ginae apne

har ghadi swang rachaya hum ne
us ne sau rang dikhae apne

e'tibar aae bhi kaise us ka
baat jo dil ko na bhae apne

kya kahen mahw-e-safar hain kab se
jism ka bojh uthae apne

muntazir bazm-e-sukhan thi 'khusraw'
shama kab samne aae apne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close