ho gaya jaise tera didar pahla aaKHiri

ho gaya jaise tera didar pahla aakhiri
ho bhi sakta hai kisi ka pyar pahla aakhiri

umr bhar wo shakhs apni baat par qaem raha
aur yun sabit hua inkar pahla aakhiri

jis qadar ghayal kiya khud sau guna ghayal hua
ishq hi to tha mera hathiyar pahla aakhiri

is liye main ne guzari zist ho kar moatadil
samjha jata hai yahan mear pahla aakhiri

jin ka dawa tha ki har tufan se takraenge
un ko hi lagne laga aazar pahla aakhiri

har taraf hi parsaon ka mila jamm-e-ghafir
puri basti mein tha main bad-kar pahla aakhiri

chor tha munsif ke dil mein tujh pe qabiz ho gaya
warna 'abid' tha tera haqdar pahla aakhiri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close