ho jate hain jab aap bhi hairan dekh kar

ho jate hain jab aap bhi hairan dekh kar
hansta hun apna chaak gareban dekh kar

phulon ka rang-o-rup nikharta chala gaya
nazuk labon pe aap ke muskan dekh kar

ek bewafa ka pyar mujhe yaad aa gaya
daur-e-khizan mein bagh ko viran dekh kar

chalte hain jab wo naz se kahti hai yun bahaar
ai dilruba sambhal ke meri jaan dekh kar

ahl-e-wafa ko apni wafaon pe naz hai
jaur-o-sitam pe un ko pasheman dekh kar

kuchh to khuda ke waste batlao kya hua
bechain hun main tum ko pareshan dekh kar

anwar janab-e-shaikh ki niyyat badal gai
bazar mein sharab ki dukan dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close