ho ke us kuche se aai to sitam dha gai kya kuchh samajh mein nahin aata ki saba pa gai kya ye wahi mera nagar hai to mere yar yahan ek basti mere pyaron ki thi kaam aa gai kya meri sarhad mein ghanimon ka guzar kaise hua thi saron ki wo jo diwar khadi dha gai kya yun to kahne ko bas ek mauj thi pani ki magar dekhna ye hain ki pal-bhar mein ghazab dha gai kya baad muddat ke mila hai to mere yar bata teri aankhon mein jo ek barq thi kajla gai kya ab kisi baat mein bhi ji nahin lagta mera dil mein aa baithi thi jo khwahish-e-duniya gai kya tazkire jis ke kitabon mein padha karte the dekh bhai wo qayamat ki ghadi aa gai kya tere chehre pe 'umar' aaj ye raunaq kaisi phir tabiat koi mauzu-e-sukhan pa gai kya