ho khuda ka karam iradon par ji rahe hain kisi ke wadon par zindagi ko bana diya hai chaman phul barsen tumhaari yaadon par asliyat kya hai ye khuda jaane zinda ab tak hain etiqadon par pas aa kar gurez karte ho zulm hai ye meri muradon par chhin gae takht baadshahon ke tang duniya hai shah-zadon par mil ke sab amn-o-chain se rahiye lanten bhejiye fasadon par ai 'falak' naz hai faqiri mein mujh ko bosida in libaadon par