ho khushi mujh ko ki gham khair tumhein kya is se tum karo mashq-e-sitam khair tumhein kya is se subh-e-nau ab hai shab-e-gham mein badalne wali phir na mil paenge hum khair tumhein kya is se yaad aate hi baras padti hain aankhen aksar kitne ruswa hue hum khair tumhein kya is se kash aa jate kabhi pursish-e-gham ko meri kuchh to rah jata bharam khair tumhein kya is se tujh ko saqi tera mai-khana mubarak hum to ab chale su-e-haram khair tumhein kya is se dekh kar hum ko zamana bhi hai hairat mein 'nasim' kya the kya ho gae hum khair tumhein kya is se