ho na kuchh baat magar shor machae rakhna is tarah auron ko hamdard banae rakhna tum agar chahte ho sab tumhein hans hans ke milen apna gham apne hi sine mein chhupae rakhna dur karna na kabhi jalwon ko mere dil se is chaman ko inhin phulon se sajae rakhna is se pur-nur hua meri tamanna ka diya rukh-e-raushan se yunhi parda uthae rakhna ye hamara hi kaleja hai ki tere gham ko dil ki manind kaleje se lagae rakhna ye ada un ki masiha bhi hai qatil bhi hai samne aa ke nigahon ko jhukae rakhna tum agar chahte ho koi tamanna na rahe hath har ek tamanna se uthae rakhna dar-e-mahbub pe har waqt pade rahna 'jigar' yani us dar ko dar-e-kaba banae rakhna