ho rahi hai is tasawwur se pareshani mujhe

ho rahi hai is tasawwur se pareshani mujhe
aaina un ko udasi dega hairani mujhe

khun rulwati hai ham-jinson ki nadani mujhe
wo khata karte hain hoti hai pashemani mujhe

ho gaya hai aaj har insan zarurat ka ghulam
ab kisi talwar par milta nahin pani mujhe

ye hua aql-o-junun ki jang ka radd-e-amal
hukmran milti hai har basti pe virani mujhe

jab hiqarat se kisi ko dekhta hai koi shakhs
kya kahun hoti hai jo taklif-e-ruhani mujhe

jaanta hun zid na karna puchhne ki dosto
kis ke dar par kham mili hai kis ki peshani mujhe

sar jhuke to bas na uthne ki qasam kha kar jhuke
mashwara ye de rahi hai meri peshani mujhe

aaj ke zohra-jamalon ka tamaddun dekh kar
sar-nigun milti hai bu-e-gul ki uryani mujhe

imtihan leti hai qudrat haisiyat ko dekh kar
qahqahe un ko mile hain ashk-afshani mujhe

chand taron ke jahan mein ghar banane ke liye
aaj-kal duniya nazar aati hai diwani mujhe

ab kisi kashti ko dariya mein koi khatra nahin
khema-zan milti hai har sahil pe tughyani mujhe

mai-kade ki baat hi kya puchhte ho dosto
mohtaram logon ke mathe par mila pani mujhe

ishq to insaniyat ke imtihan ka nam hai
ho 'nihaal' is imtihan se kyon pareshani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close