hone wala tha ek hadsa rah gaya kal ka sab se bada waqia rah gaya raat aangan mein utri nahin chandni chand shakhon mein uljha hua rah gaya hum ne kah sun liya mutmain ho gae aur ab kahne sunne ko kya rah gaya subh hogi kahani banegi koi zindagi ka yahi masala rah gaya main ne nafrat ki khai pe pul rakh diya phir bhi tuta hua silsila rah gaya sab darame ke kirdar ghar chal diye samne ek parda pada rah gaya ye bhi taklik-deh ek saza hi to hai shakh mein ek patta hara rah gaya main kisi ke yahan waqt kya katta apna hi ghar 'shafaq' dhundhta rah gaya