honge dil-o-jigar mein nishan dekh lijiye tir-e-nazar pade hain kahan dekh lijiye bagh-e-jinan mein lutf-e-aziyyat bhala kahan duniya mein sair-e-jaur-e-butan dekh lijiye aahen nikal rahi hain dil-e-dard-nak se fauj-e-gham-o-alam ka nishan dekh lijiye parde hi se na aaen wo bahar to phir unhen kis tarah dekh lije kahan dekh lijiye hindostan se chaliye su-e-karbala 'nasim' wan chal ke sair-e-bagh-e-jinan dekh lijiye