honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae

honton pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae

hairan hain lab-basta hain dil-gir hain ghunche
khushbu ki zabani tera paigham hi aae

lamhat-e-masarrat hain tasawwur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gham-o-alam hi aae

taron se saja lenge rah-e-shahr-e-tamanna
maqdur nahin subh chalo sham hi aae

kya rah badalne ka gila ham-safaron se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aae

thak-haar ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kaam aae to phir jazba-e-nakaam hi aae

baqi na rahe sakh 'ada' dasht-e-junun ki
dil mein agar andesha-e-anjam hi aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close