hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai

hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai
phir ye puchhun ki ye parda hai to jalwa kya hai

donon aankhon mein hai ek jalwa to do aankhen kyun
putliyon ka ye tamasha sa wagar na kya hai

to ne pahchan liye apni khudai ke nuqush
aaina jis ne taaruf ye karaya kya hai

zindagi-bhar padhi taqdir ki khufiya tahrir
lauh-e-marqad se padhun aage ka likkha kya hai

main hun takhliq teri soz ka ham-mani hun
tu hai mani to tera lafz se rishta kya hai

har-nafas pet ka indhan hai yahan par ai fan
hai jo hasil tera duniya hi to duniya kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close