hosh-o-khirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhod diya hum ne tumhaari chah mein ai jaan dekho to kya kya chhod diya kuche mein us rashk-e-chaman ke ja ke jo baitha phir us ne bagh-o-chaman yan jitne hain sab ka sair-o-tamasha chhod diya luta hosh aur luta din ko dil ko bhi kuchla kya kya wah naz ko us ne aaj to kuchh be-dad par aisa chhod diya din ko hamare pas wo chanchal kahe ko aawega ai dil raat ko ek dam khwab mein aana jis ne idhar ka chhod diya tair-e-dil jab hum se gaya phir faeda kya jo puchhen 'nazir' shokh ne us ko zabh kya ya qaid rakha ya chhod diya