hote hain mujh se ru-ba-ru aazar ja-ba-ja is par tere sitam hain mere yar ja-ba-ja kar-e-jahan ko chhod tumhaari talash ki tum ko bhi haare dhundh ke sarkar ja-ba-ja dhundha akele tanha hakimon ko shahr bhar phirta raha akele hi bimar ja-ba-ja majnun ke ishq par hamein hoga yaqin jab laila pukare qais ko sarshaar ja-ba-ja