hua hai qata mera dast-e-mojaza tujh pe

hua hai qata mera dast-e-mojaza tujh pe
giyah-e-zard bahut hai ye saneha tujh pe

main chahta hun mujhe mashalon ke sath jala
kushada-tar hai agar khema-e-hawa tujh pe

main apne kushta charaghon ka pul bana deta
kisi bhi sham meri nahr-e-pesh-pa tujh pe

ye koi kam hai ki ai reg-e-shisha-e-saat
uga raha hun main ek nakhl-e-aina tujh pe

ki ajnabi hun bahut saya-e-shajar ke liye
so reg-e-zard mein hota hun ru-numa tujh pe

pukarti hai mujhe khak-e-khisht-e-paiwasta
ye nasb hone ka hai khatm silsila tujh pe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close