hua jata hai pinhan raaz-e-dil mera ayan ho kar

hua jata hai pinhan raaz-e-dil mera ayan ho kar
dahan-e-zakhm pachtate hain kya kya be-zaban ho kar

madad ai himmat-e-gardun-shikan ab zoaf se kab tak
rahenge nala-ha-e-be-asar dil mein nihan ho kar

yakayak ho gai kyon khana-barbaadi khuda jaane
giri kis ki nigah-e-qahr barq-e-khanuman ho kar

jo naqus-e-barahman but-kada mein tha to masjid mein
lab-e-zahid se bhi nikla mera nala azan ho kar

ye khanjar hai ye dushman hai ye main hun kya tawaqquf hai
wo aaen bhi kahin aamada bahr-e-imtihan ho kar

rahe kya raaz is majruh ka pinhan ki jab nikle
dahan-e-zakhm se paikan raqibon ki zaban ho kar

hui taskin na mere qalb-e-wahshat-dost ko 'rasikh'
libas-e-zindagi jab tak na utra dhajjiyan ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close