hue ho kis liye barham azizam sar-e-taslim hai lo kham azizam charagh-e-hujra-e-jaan ki khabar lo labon par aa gaya hai dam azizam nahin bharta ye zakhm-e-hijr apna lagao wasl ka marham azizam tum aate ho to dam aata hai goya tum aate ho magar kam kam azizam nabud-o-bud ki is kashmakash mein ajab hai haalat-e-paiham azizam tu hi tu hai main qatra tu samundar ye man aanam ki man danam azizam hami hain kushtagan-e-waqt-e-rafta aziz-az-jaan hain ye gham azizam wajud-e-rafta-e-raftar-e-manzil sara-e-hasti-e-alim azizam khumar-e-tishna-kaami chashm-e-goyam shunidan aks-e-jam-e-jam azizam