hui aabaad virani hamari koi samjhe pareshani hamari azal ko waqt hi kitna hua hai chali jaegi hairani hamari use hum se gurezan hi na kar de ye is darja farawani hamari tumhaari khush-libasi ke muqabil jo aae chaak-damani hamari ghazal ko jine wale jaante hain bahut mushkil hai aasani hamari