hui hai mehrban un ki nazar aahista aahista hua tai ye mohabbat ka safar aahista aahista hua rangin mausam ka asar aahista aahista machalte hain mere qalb-o-nazar aahista aahista idhar mere dil-e-betab ki badhti hai betabi udhar kali ghataon ka asar aahista aahista bahut mohtat ho kar bhi guzar jaenge hum lekin utar jaegi dil mein wo nazar aahista aahista 'karan' ek roz mere dil ko diwana bana dega kisi ki mast aankhon ka asar aahista aahista