hui hum se ye nadani teri mahfil mein aa baithe zamin ki khak ho kar aasman se dil laga baithe hua khun-e-tamanna us ka shikwa kya karen tum se na kuchh socha na kuchh samjha jigar par tir kha baithe khabar ki thi gulistan-e-mohabbat mein bhi khatre hain jahan girti hai bijli hum usi dali pe ja baithe na kyun anjam-e-ulfat dekh kar aansu nikal aaen jahan ko lutne wale khud apna ghar luta baithe