hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye jafa wo karte hain aashiq pe imtihan ke liye buton ke jaur-o-jafa par main sabr karta hun yahan ke waste kuchh hai to kuchh wahan ke liye khuda ke waste rahne de apne dar pe use bana hai sang ye dil tere aastan ke liye hamare pahlu-e-ghamgin mein haif ye dil-e-zar nazakaton se pala ulfat-e-butan ke liye tapak ke dida-e-pur-nam se kyun na gir jata bana lahu mera dil chashm-e-khun-chakan ke liye hawa-e-tund khuda ke liye na chhed mujhe ghubar-e-rah bana hun main karwan ke liye kiya hai dard-e-dil-e-zar ne use aajiz labon pe jaan-e-hazin aai hai fughan ke liye 'jamila' ta-dar-e-mahbub kis tarah jaun qadam uthana hai dushwar na-tawan ke liye