hukm aaya hai ki fitne ko bhi fitna na kahun

hukm aaya hai ki fitne ko bhi fitna na kahun
jaisa dekha hai suna hai use waisa na kahun

mere chup rahne se kya baat sanwar jaegi
log khud bhi to samajhte hain kahun ya na kahun

husn ghamze se chhuta ishq faramosh hua
aise haalat mein kya sher bhi sachcha na kahun

khud-kushi aur shahadat mein hai ek farq-e-latif
kash jo kuchh mujhe kahna hai wo tanha na kahun

kis qadar zulm hai haalat ka 'nuri' sahab
aap dhoka mujhe den aur main dhoka na kahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close