hukm qudrat ne jab aalam-gari ka likkha qismat-e-ishq mein gham be-asari ka likkha aakhirash chaak-e-gareban nazar aaya khud bhi haal jis ne bhi meri jama-dari ka likkha padhte hi nama-e-pur-shauq mera us ne kaha ye to hai aalam-e-ashufta-sari ka likkha waraq-e-dil pe mere ishq ne afsos ke sath hadisa teri pasheman-nazari ka likkha jis ne tarikh-e-gulistan-e-mohabbat likkhi pahle qissa meri be-baal-o-pari ka likkha apni qudrat ka jab izhaar kiya sanea ne raaz aaine pe aaina-gari ka likkha juz mere padh na saka koi gulistan mein 'jalil' waraq-e-gul pe nasim-e-sahari ka likkha