hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate aankhon mein namak hai to nazar kyun nahin aata palkon pe guhar hain to bikhar kyun nahin jate akhbar mein rozana wahi shor hai yani apne se ye haalat sanwar kyun nahin jate ye baat abhi mujh ko bhi malum nahin hai patthar idhar aate hain udhar kyun nahin jate teri hi tarah ab ye tere hijr ke din bhi jate nazar aate hain magar kyun nahin jate ab yaad kabhi aae to aaine se puchho 'mahbub-khizan' sham ko ghar kyun nahin jate