hum agar dariya ki maujon se rawani mangte

hum agar dariya ki maujon se rawani mangte
phir to sukhe ped bhi baadal se pani mangte

dil mein ek shoala hai jis ko zinda rakhne ke liye
tujh se ya-rab hum hain umr-e-jawedani mangte

log nashshe se agar hushiyar ho pate to phir
zindagi ka lamha lamha dastani mangte

is tarah ghut ghut ke marne se to behtar tha ki log
ek hi din kash marg-e-na-gahani mangte

apne ghar aane ki fursat bhi to yaro chahiye
khud se mil pate to hum yaaden purani mangte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close