hum ahl-e-dil hain samajhte hain aashiqi kya hai

hum ahl-e-dil hain samajhte hain aashiqi kya hai
junun-nazir bataenge bandagi kya hai

charagh aankhon ke bujhte hain raat aate hi
shab-e-alam ke asiron ko raushni kya hai

ata-e-khas hai teri mere liye ya-rab
ye harf-o-saut hain kya aur aagahi kya hai

kisi ki zulf-e-moambar ka ab khayal kahan
hayat mein hai tawazun ye dil-lagi kya hai

ye iztirab nahin us se ab juda ho kar
to phir batao ki aankhon mein ye nami kya hai

sitam nasib ka hai gar wo rah gaya pichhe
khud-e'timad bashar hai to phir kami kya hai

mera junun ye mujhe kis dayar mein laya
bikhar gaya hai wajud apna bebasi kya hai

'azim' sab se bahut ehtiyat se milna
kahan samajhte hain ab log dosti kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close