hum apni zindagi se pyar na karte to kya karte

hum apni zindagi se pyar na karte to kya karte
ye neamat milti hai ek bar na karte to kya karte

mohabbat ka agar bewpar na karte to kya karte
hai duniya husn ka bazar na karte to kya karte

mohabbat aisi majburi mein aksar ho hi jati hai
tum itne pyare ho hum pyar na karte to kya karte

bure logon mein achchhai ka unsur bhi to hota hai
hifazat gar gulon ki khar na karte to kya karte

adhure kaam karne se to dil bharta nahin pyare
mukammal dil ke karobar na karte to kya karte

khudaya aap ki rahmat ka rakhna tha bharam hum ko
gunahon ka agar ambar na karte to kya karte

dikhawe ki ye duniya hai dikhawa karna padta hai
hasinan-e-jahan singar na karte to kya karte

khafa hona to ek karwat badalne wali fitrat hai
to wo karwat badal kar pyar na karte to kya karte

kudurat dil mein ho to phir mohabbat ho nahin sakti
safai dil ki thi darkar na karte to kya karte

bharosa naw pe rakhte to phir hum dolte rahte
rifaqat lahron se patwar na karte to kya karte

hamein is zindagi mein kuchh na kuchh to karna tha 'sahil'
mohabbat bhi agar ek bar na karte to kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close