hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae aae na bahaar aakhir shayad na bahaar aae rang un ke talawwun ka chhaya raha mahfil par kuchh sina-figar utthe kuchh sina-figar aae fitrat hi mohabbat ki duniya se nirali hai ho dard siwa jitna utna hi qarar aae kya husn-e-tabiat hai kya ishq ki zinat hai dil mit ke qarar aae rang ud ke nikhaar aae dar se tere takraya ek nara-e-mastana be-nam liye tera hum tujh ko pukar aae taswir bani dekhi ek jaan-e-tamanna ki aansu meri aankhon mein kya silsila-war aae kuchh un se na kahna hi thi fath mohabbat ki jiti hui bazi ko hum jaan ke haar aae is darja wo pyare hain kahte hi nahin banta kya aur kaha jae jab aur bhi pyar aae is bazm mein hum aakhir pahunche bhi to kya paya dil hi ki dabi choten kuchh aur ubhaar aae