hum bhi kahan chaman ki hifazat ko aa gae khud baghban hamari adawat ko aa gae bazar phailne jo laga ghar mein har taraf rishte sabhi lapak ke tijarat ko aa gae har waqt aib sab ke ginane mein hum rahe phir ek roz hum hi sharafat ko aa gae awwal haram-khor sabhi apne mulk mein aali janab ho ke qayaadat ko aa gae kyon na siyah raaten ujalon se haartin jab sab diye hawa se baghawat ko aa gae pur-lutf zindagi ke liye tha yahi bahut donon zara zara sa mohabbat ko aa gae mil kar sabhi ne pahle to bimar kar diya phir sare dost meri ayaadat ko aa gae