hum falak ke aadmi the sakinan-e-qarya-e-mahtab the hum tere hathon mein kaise aa gae hum to bade nayab the waqt ne hum ko agar patthar bana dala hai to hum kya karen yaad hain wo din bhi hum ko hum bhi jab mehr o wafa ka bab the zar lutate guzre mausam aane wali raushni lati ruten chand yaaden chand ummiden hamari zist ke asbab the khwab aur tabir hain do intihaon par hamein ye ilm tha hum jiye jate the phir bhi apne kya faulad ke aasab the ho saki hain kab khayalon ki ham-ahangi ki zamin qurbaten ek hi bistar pe sone walon ke bhi apne apne khwab the jo 'riyaz' aata tha hum ko yaad wo ek qarya-e-sarsabz tha chand raushan taq the kuchh nur mein dube hue mehrab the