hum faqiron se samajh hum ko na samjha kya hai hum samajh-bujh ke baithe hain ki duniya kya hai masala bhi hai agar koi to aisa kya hai hath par hath dhare baithe to qissa kya hai wo jise hum ne kiya rishta-e-jaan se mamur wo bhi kahta hai ki tujh se mera nata kya hai roz bhar jata hai ek zakhm purana koi roz ek zakhm naya deta hai qissa kya hai tu tawangar hai to kya mujh ko hiqarat se na dekh kab badal jaenge haalat bharosa kya hai khak hona hai to kis baat ka rona ki 'zafar' khak ho jaenge hum is ke alawa kya hai