hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete teri yaadon ko bhi ruswa nahin hone dete kuchh to hum khud bhi nahin chahte shohrat apni aur kuchh log bhi aisa nahin hone dete azmaten apne charaghon ki bachane ke liye hum kisi ghar mein ujala nahin hone dete aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete zikr karte hain tera nam nahin lete hain hum samundar ko jazira nahin hone dete mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahad mere bachche mujhe budha nahin hone dete