hum har qadam par soch ka rukh modte rahe kitne sanam banate rahe todte rahe halchal jo dil mein thi wo na lafzon mein dhal saki rishte zaban o dil ke bahut jodte rahe ubhra kiye shokuk nae dil mein har ghadi har dam naya shagufa koi chhodte rahe khud mein the aise dahr se na-ashna rahe raushan haqiqaton se bhi munh modte rahe partaw tha ek jamal ka aaya guzar gaya saya tha jis ke pichhe sada daudte rahe ab tak junun-e-ishq ki hain sar-bulandiyan nahaq khirad ke nam pe sar phodte rahe