hum hue sare zamane se KHafa tere liye

hum hue sare zamane se khafa tere liye
zulm kya kya na sahe jaan-e-ada tere liye

tere parwane ki jaan le ke raha wo aakhir
hum ne chahat ka jalaya jo diya tere liye

khud se badh kar bhi kabhi hum ne tujhe chaha hai
lab pe raushan rahi har waqt dua tere liye

raat din hum ne bahae hain lahu ke aansu
ki hai manzur sisakne ki ada tere liye

dosti tujh se jo ki ho gai dushman duniya
ishq ke nam pe kya kya na hua tere liye

teri har baat ko mana kiye hami bhar li
hum hue paikar-e-taslim-o-raza tere liye

teri khatir kiya samjhauta jahan se 'hafiz'
hum ne bardasht ki tauhin-e-ana tere liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close