hum jo dehat se shahron ki taraf aae hain ishq aur husn ke bichhde hue hamsae hain ek be-rang se mausam ki hawa chalti hai ab na wo dhup na pedon ke ghane sae hain kaun sa phul hamein yaad nahin bachpan ka kaun sa rang jawani ka bhula pae hain gard-e-ayyam-e-guzishta bhi to sath aai hai hum tere pas akele to nahin aae hain teri aankhen to ujale ki amin hain ab tak ye andhere to kisi aur ne phailae hain