hum jo ek bar tere rukh ki jhalak dekhte hain der tak log phir aankhon ki chamak dekhte hain ab khizaon ke tasallut mein hain sab dasht magar aap ke sath bahaaron ki kumak dekhte hain dub jate hain sab aawaz ki shirini mein aur hum aap ke lahje ki khanak dekhte hain aise lagta hai ki wo wasl pe aamada hain jab rawayye mein kabhi un ke lachak dekhte hain dekhna chahte hain achchhe khad-o-khal sabhi kaun is dil mein jo hoti hai kasak dekhte hain tum samajhte ho hamein dhun hai sitaron ki faqat jab ki hum un se pare rang-e-falak dekhte hain rok sakte to nahin aap ko hum 'zarghone' han magar jate hue der talak dekhte hain