hum kaamyab ho ke bhi nakaam rah gae izhaar kuchh hua bhi to ibham rah gae aazad ho ke jun hi khule mere baal-o-par mujh par khula ki panw tah-e-dam rah gae main de saka na un ko kisi tajarbe ki aanch afsos kuchh khayal mere kham rah gae karti rahi zaban meri be-dast-o-pa mujhe baaton mein umr bit gai kaam rah gae main rah dekhta raha yaron ki subh tak 'basir' bhare-bharae mere jam rah gae