hum kinara kiye kinaron se

hum kinara kiye kinaron se
khela karte hain manjdhaaron se

hum guzarte hain khelte hanste
shola-zaron se kharzaron se

nam pate hain naseh-e-be-nam
hum se badnam baada-khwaron se

tuf ba-matlab-barari-e-yaran
uf ye atwar khaksaron se

jin ke dil mein gulon ki chahat hai
pahle wo surakh-ru hon kharon se

dil ki rahon mein bo liye kante
kar ke ummid gul-ezaron se

yun hai jumbish mein phul ki dali
wo bulate hain jun ishaaron se

yun to mah-wash hazar dekhe hain
tum juda ho magar hazaron se

bul-hawas hai raqib baatin mein
taur zahir mein jaan-nisaron se

ek fasana ki tha dayar apna
ek haqiqat ki be-dayaron se

tu ne ai dost sath kya chhoda
dil larazta hai ab sahaaron se

garm bazar hai mere fan ka
dad pata hun naqd-karon se

ruth jaen na wo kahin 'amir'
sher padhiye na yun ishaaron se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close