hum kisi saya-e-diwar mein aa baithe hain ya kahin sham ke aasar mein aa baithe hain hum ki juz apne siwa auron se waqif hi nahin khud se uktae to do-chaar mein aa baithe hain hum ko bhati na thi khushbu-e-chaman to uth kar ghar ke gul-dan ki mahkar mein aa baithe hain ye ajab log hain jine ki tamanna le kar subh hote hi saf-e-dar mein aa baithe hain chhod kar apne thikanon ko chaman mein ye parind jaane kyun wadi-e-pur-khar mein aa baithe hain tu na ho to koi tujh sa hi nazar aae 'shahab' hum jahan hasrat-e-didar mein aa baithe hain